Gareeb Shayari Lyrics – Lashcurry | MTV Hustle 4

Picture of Yubraj Shrestha

Yubraj Shrestha

“PROMOTE YOUR COVER SONG FOR FREE”

The track “Gareeb Shayari Lyrics” is written and performed by Lashcurry, with music produced by Aditya Pushkarna. It is released under the Saregama Music label and belongs to the Hip Hop genre, specifically the Rap sub-genre.

Song Title Gareeb Shayari
Singer
Lashcurry
Lyrics
Lashcurry
Music
Aditya Pushkarna
Language
Hindi
Release Date On This
Dec 1, 2024

Gareeb Shayari Lyrics

Lyrics in English
Lyrics In Hindi
English Translation

“Lyricist Lashcurry" Main Karta Hoon Ajeeb Shayari Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari Khayaal Rakh Maa Baap Ka Long Live My G Aise Gaane Aisi Baatein Kahin Nahi Mil Paayegi Main Karta Hoon Ajeeb Shayari Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari Khayaal Rakh Maa Baap Ka Long Live My G Aise Gaane Aisi Baatein Kahin Nahi Mil Paayegi Sawaal Karna Haqq Hai Mera Rakhne Aaya Neev Pakki Nashe Kar Ke Yuvaon Ki Toot Chuki Reedh Haddi Mandiron Ke Baahar Bhikariyon Ki Bheed Lagti Netaon Ki Baatein Kyun Ajeeb Lagti Yeh Candle Ek Scandal Hai Chhod Do Mombatti Yeh Bhagat Wali Qaum Kyun Dhong Pe Maun Rakhti Mera Itihaas Kehta Mujh Se Tu Khol De Pol Sabki Ab Tu Sikhayega Usey Woh Kya Pehen Aur Odh Sakti Inn Se Gol Banti Roti Nahi Troll Karta Perfect Tu Khana Khaata Time Pe Na Bhoj Karta Bhar Paet Boss Karta Tangg Tujhe Roz Karta Frustrate Roz Paida Hota Banti Maut Meri Birthdate Maa Baap Se Badh Ke Dastavez Ho Gaye Yeh Saare Western Bann-Ne Ke Chakkar Mein Fail Ho Gaye Market Thap Poora Share Saare Dher Ho Gaye Goat Bann-Ne Ki Hoad Mein Ladke Bhed Ho Gaye Gar Maa Meri Bimaar Toh Kis Baat Ka Intezaar Beech Bazaar Mein Chain Luti Daam Tha 20 Hazaar Zilla Badar Launde Hum Pe Inaam Tha 30 Hazaar Remand Mein Kheenchi Khaal Bas Jaan Na Nikali Yaar Peechhe Sahab Ne Chillaya Isko Aur Thoda Maar Khota Public Aake Bajti Wannabe Lamar Inka J Alag Cole Alag Vaasta Nahi Hip Hop Se Indore Se Patna Patna Rajdhani Scene Sort Hai Yahan Sabhi Ko Hi Behtar Ki Talaash Hai Mujhe Ek Rapper Mein Ek Rapper Ki Talaash Hai Woh Zinda Hai Ya Laash Hai Parinda Ek Hataash Hai Samandar Mein Bhi Aag Hai Woh Sab Murajhaye Phool Saara Dosh Aata Maali Pe Unn Bhanwaron Ka Kasoor Nahi Dikhta Yeh Duniya Jaali Hai Horn Bajte Gaadi Ke Na Koyal Gaati Daali Pe Married To The Game Poori Royal Wali Shaadi Hai Guldasta Hai Sawaal Ka Phool Accha Hai Sambhaalna Qudrat Ka Yeh Kamaal Tha Chhu Sakta Hoon Main Aasmaan Munh Lagta Nahi Main Khamakha Karta Hoon Main Saadhna Muqadma Ya Phir Khaatma Latka Bann Ke Aatma Lafda Kar Ke Bhaag Na Ghanta Ghar Ke Paas Mein Laash Mili Poochh-Taachh Na Ghapla Karti Aurat Uska Aadmi Khoob Maarta Fees Na Milne Pe School Daakhila Kyun Kaat-Ta Hum Katt Gaye Woh Kaat-Ta Hum Bant Gaye Woh Baant-Ta Kisi Kasbe Mein Teacher Apne Bacche Ko Maarta Par Jaan Se Aur Dhyaan Se Suno Aane Wali Baatein Sacchi Daastan Yeh Main Nahi Mere Jazbaat Bol Rahe Mere Gaano Ka Daam Kuch Abhi Dus Laakh Bol Rahe Kuch Controversies Ke Liye Masla Khoj Rahe Dhan Ke Lobh Mein Poori Lanka Jhonk Rahe Samaaj Ki Sunu Main Ya Anaaj Ki Jab Baat Aati Bhookh Ki Toh Pagal Hona Laazmi Jab Baahar Aati News Behen Ko Zinda Tak Nahi Chhoda Safed Coat Hua Laal Jiske Daag Nahi Chhupe Aaj Bhi Kisi Ne Poochha Nahi Beta Tera Haal Kya Hai Sabhi Ne Poochha Tere Batwe Mein Kaagaz Kitne Har Jagah Dhuan Dhuan Kaafi Hanikarak Din Thae Kar Diya Maaf Sabhi Ko Hum Bhi Toh Baalak Dil Thae Main Karta Hoon Ajeeb Shayari Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari Khayaal Rakh Maa Baap Ka Long Live My G Aise Gaane Aisi Baatein Kahin Nahi Mil Paayegi Main Karta Hoon Ajeeb Shayari Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari End Lyrics

“Lyricist Lashcurry" “Currently, Hindi lyrics are not available due to low demand. If you want lyrics in Hindi, you can send a message by clicking the button in the bottom right corner and request Hindi lyrics. End Lyrics

“Lyricist Lashcurry" “Currently, English translation lyrics are not available due to low demand. If you want lyrics in English translation, you can send a message by clicking the button in the bottom right corner and request English translation lyrics. End Lyrics

Gareeb Shayari Official Music Video

Find More Songs From MTV Hustle 4

MTV Hustle 4

Share This Post

Promote my YouTube cover song For Free
OR
Direct Chat With Me